RAMAZAN AUR ROZE
PART -1
INTRODUCTIONHar saal Ramazan aate hain aur chale jate hai aur hum vese hi rahte hain change nahi hote kyon ?????
Aajkal aapne sabke muh se suna hoga ki hum project par hain ya training par hain to ye training ka matlab kya hota hai ????
JAB aap kahi job karne jate hain to wo apko us environment me kaam karne ke liye training dete hain taki aap us mahol main kaam karna seekh jayeen.. company ke rules regulations seekh jayeen.
Company join karte hi aapko ek dam se project ya important work nahi diya jata aapko pehle sikhaya jata hai ki aapko ye karna hai ye nahi karna hai aapko is tarah se logon se baat karni hai aese nahi karna hai, aese deal karna hai,aapse kya expected hai kya nahi hai. ....
Ye normal batain hain ye sabko samjh me aati hain !!!!!
Phir jaise military training hoti hai usme training di jati hai.. pehle aapko rough n tough banaya jata hai ..subah 4-5 baje se utha kar exercise karvaye jati hai bahot tough cheeze sikhai jati hain aapko bahot strong banaya jata hai ......aapki body ko har tough situation ke according banaya jata hai... shoot karna defence karna sab sikhaya jata hai uske baad aap eligible hote hain ke aap kahi jake fight kar sakeen !!!
Hum insaan hain Allah swt ne humko banaya hai aur ALLAH Ta'ala jaante hain ke hume kaise chalna hai kya karna hai kya nahi karna hai kyunki wo creator hain.
Jaise koi engineer mobile banata hai to wo hi bata sakta hai ki ise kaise operate karna hai ..kaise software use karne hain.. Aap ise pani main daalenge to ye kharab ho jayega..... sare instructions wo deta hai .....
To sab kuch. .banane wala decide karta hai ki kaise operate karna hai kis cheez se isko bachana hai.
Hamara banane wala ALLAH hai aur use pata hai ki hum kaise chalenge ..kaise amaal karenge to hum jannat me jaynge aur kin cheezo se hamain bachna hai. .....
To ALLAH SWT ne hamain apni ibadat ke liye banaya aur duniya main chodha aur ikhitiyar bhi diya ..hamain azadi di ke jo bhi chahe insan apni marzi se kar sakta hai ..Phir ALLAH swt ne hamain Qur'an diya ...Qur'an me sab likha hai ki hamain kya karna chahiye kya nahi karna chahiye guidance ke liye Qur'an bheja ....ki iske according chaloge to duniya aur aakhrat main success milegi.
*SHAITAAN HAMARA DUSHMAN:-*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Shaitaan hamara aesa dushman hai jo hamain nazar nahi aata aur ye bahot khatarnaak baat hai hamare liye.....
Kyonki shaitaan ne qasam khai thi ALLAH ke samne ke main tere bandoon ko bhadkaunga aur unmain se majority ko aap nashukra payenge aur me khud to jahannum me jaunga aur tere bando ko bhi apne saath leker jaunga.....
ALLAH SWT farmate hain ki shaitaan aur uska lashkar tumhe aesi jagah se dekhte hain jahan se tum unhe nahi dekh sakte !!
Aap sochein koi dushman visible ho to aap usse fight kar sakte hain lekin agar koi invisible ho aapke andar aapko behka raha ho vasvase daal raha ho to wo kitna zyada khatarnaak dushman hai aur wo hamare saath har vaqt rehta hai aur hume ahsaas bhi nahi hota hai!!
Aap pori duniya ke dushman ko samne rakh lein aur ek shaitaan ko rakh leen.
Hamaazat ek shaitan hai.. jaise hi baccha paida hota hai wo uske sath lag jata hai har insan ke saath shaitaan hota hai..shaitaan ke paas powers hain.. uska maqsad hai ki wo jahannum me zyada se zyada bando ko le jaye!!
bande ko har galat kaam karne pe amada karta hai
Insan jab thoda deen samjhna shuru karta hai. .. to use takleef hone lagti hai .
ALLAH Ta'ala jab kisi insan ke saath bhalai ka irada karta hai to us insan ko deen ki samjh de dete hain taki aapko pata chalne lage ki kya sahi hai kya galat, use shaitaan ki tactics(chalen) samjh aane lagen......
Aur jaise hi aapko samjh aane lagta hai to shaitaan ak ki jagah kai shaitaan laga deta hai insan par, taaki vo bande ko deen se rok sake. insan ke ander shak paida kare deen me aur insan bhatak jaye !!
Hamain shaitaan se fight karni hai 24 hours aur agar aap shaitaan se nahi ladenge to aap uske control me aa jayenge aur wo aap par haavi ho jayega jaisa chahega apko apne hisab se chalayega aapke dil me shak paida karega !!galat kaam karne ko kahega ....
ALLAH ne Surah Kahf main farmaya hai ki tum shaitaan ki ibadat mat karo matlab ki tum shaitaan ki baat mat maano uski bandagi mat karo, surrender mat karo khud ko uske liye...
Jab insan ke paas koi hatiyaar (deen aur deen ki samjh) nahi hoti to shaitaan insan ko control kar leta hai phir wo shaitaan ke nakshe qadam par chalne lagta hai!!
Aur insan sirate mustaqeem se bhatakte bhatakte itni door chala jata hai ki vo wapas hi nahi aa pata aur aese hi wo halaaq ho jata hai !!!!!!!
Ab hamain shaitaan se bachna hai kyunke shaitaan hamara sabse bada Dushman hai Aur ALLAH swt humse bahot mohabbat karte hain unhe pata hai ki apne bandoon ko shaitaan se kaise bachana hai.......
ALLAH SWT 12 mahino main se 1 mahine ke liye sarkash shaitano ko .. zanjeero me qaid kar lete hain.
Ab aapke paas koi dushman nahi hai aap mehfuz hai aur 1 mahine aap training period me rahte hain jisme aapko khud ko control karna apni desires ko control karna sikhaya jata hai taki aap aane wale 11 mahine us shaitaan se achchi tarah fight kar sakein!!....
To Ramazan hamara 1 mahine ka training period hai jisme hamain apne aapko powerful banana hai taki khud ko control aur disciplined kar sake....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*ASSIGNMENT*
➡..QUE..Allah Ta'ala ne hame kyon paida kiya hai ?
➡..QUE..Shaitaan ne Allah Ta'ala ke samne kya qasam khai thi ?
➡..QUE..Wo kon sa Shaitaan hai jo baccha paida hote hi uske saath lag jata hai ?
➡..QUE..Shaitaan insan ko kab control karne lagta hai ?
➡..QUE..Kis mahine main hum apne aap ko control kar sakte hain Allah ki itaat par ?
To be Continued........
No comments:
Post a Comment